Followers

Friday, October 2, 2009

MY WRITE UP PUBLISHED IN DAINIK BHASKAR ON VOLUNTARY BLOOD DONATION DAY

Khoon daan se bada tohfa koi nai maana jata kyu ki ye tohfa anmol hota hai. Zarurat ki bat kare to har 3 second me ek bar kisi na kisi ko blood chadane ki zarurat hoti hai. World Health Organization ne 1997 me target rakha tha ki zarurat padne par har kisi ko blood bina koi mol diye hue milna chahiye. Par Saal 2006 tak 124 me se sirf 49 desh ye target poora kar paye. Hairani ki bat ye hai ki vigyaan ab tak khoon banane ke liye koi shodh nai kar paya hai aur manav ko manav ka hi khoon diya ja sakta hai. Aaj National Voluntary Blood Donation Day pe hum blood donation se judi ek fact file de rahe hai ta ki sirf aanjane dark e karan aap is seva me peeche na reh jaye.

KIS CASE ME KITA CHAIYE BLOOD

Bone Marrow Transplant 120 units of platelets/ 20 units of red blood cells
Automobile Accident 50 units of blood
Organ Transplant 40 units of blood / 30 units of platelets
20 bags of cryoprecipitate 25 units of fresh frozen plasma
Burn Victims 20 units of platelets
Liver Transplant 10 units
Heart Surgery 6 units of blood / 6 units of platelets


1. Kansas University Medical Center ki ek research me se ye natija nikal ke aya hai ki khoon daan karne se donor ko khud ko fayda hota hai aur use heart ki rog hone ki sambhavna doosro se 30% tak kam hoti hai.
2. Ek bar blood donate karne se aap 4 zindgiya bachaate hai kyu ki is blood ko 4 bhaago me Red Cells, White Cells, Plasma & Platelets mein baanta jata hai, jo alag alag logo ke kaam aa sakte hai.
3. 18 saal se 60 saal tak aur 45 kg se jyada wajan ke insaan har 56 days baad blood donate kar sakte hai.
4. Ek normal insaan me 5 se 6 litre tak blood hota hai jisme se daan karte samay sirf 300 -400 ml blood hi ek bar me liya jata hai jo ki 24 se 48 ghanto me bina koi special diet ya medicine liye poora ho jata hai.
5. Donor ko blood donate karne se AIDS ya koi bhi aur bimaari nai ho sakti.
6. O- type blood vale log universal donors hote hai jinka blood kisi bhi blood group vale insaan ko diya ja saakta hai. Par India me sirf 38% logo ka hi ye blood group hota hai. chahe hamare India ki aadhi se jyada population blood donate karne ke liye medically fit hai, par donate karne vale sirf 1000 me 4 log hi aage ate hai.
7. Donated Blood ka 60% female patients ko chadhaya jata hai par jab daan karne ki baat ati hai to 5% donor hi female hoti hai.

Drugs and Cosmetics Act. 1940 ke anusaar Blood donate karte time precautions

1. Age: between 18 to 60 years.
2. Body weight: 45 kg and above.
3. Pulse rate: 60 to 100 per minute and regular
4. Blood Pressure: Systolic 100 to 180 mm of mercury; Diastolic 50 to 100 mm of mercury.
5. Hemoglobin: Minimum 12.5gm/100ml of blood.
6. Oral temperature: not exceeding 37.50C.

Ye log blood donate na kare

1. Malaria (within 1 year)
2. Hepatitis B, C *
3. Any other type of Jaundice (within 16 years)
4. AIDS
5. Tuberculosis (within 2 years)
6. Diabetics
7. Fits
8. Cancer
9. Leprosy or any other infectious diseases
10. Hemophilia/ Bleeding problems
11. Kidney disease
12. Heart disease
13. Chicken Pox (within 1 year)
14. Hormonal disorders
15. Hemoglobin deficiency / Anemia (recently)
16. Drastic weight loss
17. Small Pox Vaccination (within the last 3weeks)
18. Blood Donation (within the last 3 months)
19. Blood Transfusion (within the last 6 months)
20. Major Surgery (within the last 3 months)
21. Pregnancy (within the last 6 months)
22. High Blood Pressure

Blood Donate Karne Ke Baad

1. kuch solid ya liquid zarur lijiye.
2. agle 4 ghanto me pehle se jyada liquids lijiye.
3. kuch khane se pehle alcohol avoid kijiye.
4. Donate karne ke 30 minute bad tak smoking mat kijiye aur na hi stairs chadiye.
5. Bleeding hone pe hath upar utha lijiye aur pressure daliye.

No comments: